Monday, December 3, 2007

Wo Dekho Ek Software Engineer Ja Raha Hai

Apne Project ke bojh tale daba jaa raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

zindagi se hara hua hai,

par "Bugs" se haar nahi manata,


Apne application ki ek ek line ise rati hui hai,

par aaj kaun se rang ke moje pehne hain ,

ye nahi janata,


din par din ek excel file banata ja raha hai

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

das hazaar line ke code main error dhoond lete hain lekin,

majboor dost ki ankhon ki nami dikhayi nahi deti,


pc pe hazaar windows khuli hain,

par dil ki khidki pe koi dastak sunayi
nahi deti,

Saturday-Sunday nahata nahi,

week days ko naha raha hai,


Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Coding karte karte pata hi nahi chala,

bugs ki priority kab maa-baap se
high ho gayi,

kitabon main gulab rakhne wala ,

cigerette ke dhuyen main kho gaya,


dil ki zameen se armaanon ki vidayi ho gayi,

weekends pe daroo peke jo jashna mana raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

maze lena ho iske to pooch lo,

"Salary Increment" ki party kab dila rahe ho,

hansi udana ho to pooch lo,

"Onsite" kab ja rahe ho?

wo dekho onsite se laute team-mate ki chocolates kha raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

kharche badh rahe hain, baal kam ho rahe hain,

KRA ki date ati nahi,

Income Tax ke sitam ho rahe hain,


lo phir se bus choot gayi,

Auto se aa raha hai,


Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Pizza gale se nahi utarta,

to "Coke" ke sahare nigal liya jata hai,


office ki "Thali" dekh munh hai bigadta,

maa ke hath ka wo khana baar roz yaad ata hai,

"Sprout bhel" bani hai phir bhi,

free "Evening Snacks" kha raha hai,


Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

aapne ab tak li hongi bahut si chutkiya,

Software engg. ke jivan ka sach batati ye akhri kuch panktiyan,

hazaron ki tankhwah wala,

company ki karodon ki jeb bharta hai,


software engg. wahi ban sakta hai,

jo lohe ka jigar rakh sakta hai,


hum log jee jee ke marte hain ,

zindagi hai kuch aisi,


ek fauji ki naukri, doosri software engg. ki,

dono ki ek jaisi,


is kavita ka har shabd dil ki gehrayi se aa raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai.